bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai muflis ki zindagi mein jo kuchh hai qudrati hai ehsas ka parinda jaga hai mere andar us ki ata se khush hun dil mahw-e-bandagi hai sahraon se to pyase laute nahin kabhi hum dariya ke beach mein hain to pyas lag rahi hai hum sochte hain akasr kyun hashr sa hai barpa jazbon mein hai tarawat fikron mein shoalagi hai mausam ki hi tarah ab insan badal rahe hain ye faiz-e-agahi hai ya qasd-e-gumrahi hai kis se kahun main 'ahsan' roz-e-azal se ab tak kutiyon mein tirgi hai mahlon mein raushni hai