bahar bahar dekh chuka to ab kuchh apne andar dekh

bahar bahar dekh chuka to ab kuchh apne andar dekh
nazzare ka lutf yahi hai alag alag har manzar dekh

upar upar bahta pani niche niche aag dabi
jalti bujhti aag ke andar sahra dekh samundar dekh

aag pe chalna dar pe chalna din ke nagar ka qissa ye
shab ki kahani ye ki badan par be-khwabi ki chadar dekh

raste baste ghar hi nahin aabaad hai sara shahar magar
ek aasebi sannata hai andar dekh ki bahar dekh

ghar wale bezar gharon se dilon se ghaeb dildari
yahi tamasha apne ghar mein yahi tamasha ghar ghar dekh

kuchh kuchh aankh mein dard chhupae kuchh kuchh dil mein darta sa
aas ki sukhi shakh pe baitha ek parinda be-par dekh

apna apna sar kandhe par sar par apna apna bojh
duniya ghar ka bojh uthae mujh ko dekh sarasar dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close