go jawani mein thi kaj-rai bahut par jawani hum ko yaad aai bahut zer-e-burqa tu ne kya dikhla diya jama hain har su tamashai bahut hat pe is ki aur pis jate hain dil ras hai kuchh us ko khud-rai bahut sarw ya gul aankh mein jachte nahin dil pe hai naqsh us ki ranai bahut chur tha zakhmon mein aur kahta tha dil rahat is taklif mein pai bahut aa rahi hai chah-e-yusuf se sada dost yan thode hain aur bhai bahut wasl ke ho ho ke saman rah gae meinh na barsa aur ghata chhai bahut jaan-nisari par wo bol utthe meri hain fidai kam tamashai bahut hum ne har adna ko aala kar diya khaksari apni kaam aai bahut kar diya chup waqiat-e-dahr ne thi kabhi hum mein bhi goyai bahut ghat gain khud talkhiyan ayyam ki ya gai kuchh badh shakebai bahut hum na kahte the ki 'haali' chup raho rast-goi mein hai ruswai bahut