chalte hue ek roz thahar jaenge hum bhi dariya hain samundar mein utar jaenge hum bhi ab baith ke zakhmon se lahu ponchh raha hai pahle to wo samjha tha ki dar jaenge hum bhi ye kya ki har ilzam hamare hi sar aae aaina bano tum to sanwar jaenge hum bhi todenge nahin apne qabile ki riwayat hanste hue maqtal se guzar jaenge hum bhi bhati hai hamein bhi dar-o-diwar ki khushbu kuchh khwab kama lenge to ghar jaenge hum bhi ikhlas ke rishte ne hamein bandh rakha hai dushman ye samajhta tha bikhar jaenge hum bhi sharminda hua ghar mein wo kuchh der laga kar samjha tha sada de ke guzar jaenge hum bhi