hausla kho na diya teri nahin se hum ne kitni shiknon ko chuna teri jabin se hum ne wo bhi kya din the ki diwana bane phirte the sun liya tha tere bare mein kahin se hum ne jis jagah pahle-pahal nam tera aata hai dastan apni sunai hai wahin se hum ne yun to ehsan hasinon ke uthae hain bahut pyar lekin jo kiya hai to tumhin se hum ne kuchh samajh kar hi khuda tujh ko kaha hai warna kaun si baat kahi itne yaqin se hum ne