bahr se dariya bana dariya se kuza ho gaya martaba kya tha tumhaari bazm mein kya ho gaya waqt badla to sabhi kuchh ulta-pulta ho gaya phul khilte the jahan kal aaj sahra ho gaya ye mere aslaf ki meraj-e-ulfat thi ki jo tez-rau dariya ruka dariya mein rasta ho gaya jaane ye aashuftagi mujh ko kahan le jaegi aaj phir qalb-e-hazin ko un ka dhoka ho gaya faelatun faelatun faelatun faelun dekhiye bahr-e-ramal mein sher kaisa ho gaya inqilab-e-dahr ka ye bhi ajuba khub hai khun insanon ka 'farhat' sab se sasta ho gaya