hath aage kiya aur dast-e-karam tham liya

hath aage kiya aur dast-e-karam tham liya
sar jhuka pai to palkon se haram tham liya

main ne is duniya ke dastur se baghi ho kar
haq-o-insaf-o-mohabbat ka alam tham liya

haq ko baatil se milate hue dekha sab ko
kuchh na kuchh sach ke batane ko qalam tham liya

na-tawan zulm badhate hain ye jaana jab se
khud pe uthta hua har dast-e-sitam tham liya

zinda rahne ki tamanna mein hai marna mushkil
jaanib-e-dar-o-rasan badhta qadam tham liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close