bhik lene aish ki sab dar-ba-dar jate rahe

bhik lene aish ki sab dar-ba-dar jate rahe
mere jaise manchale khushiyon ko thukraate rahe

kitni ibrat-nak thi ahbab ki wo guftugu
dushmanon ke tanz jab hasrat se yaad aate rahe

zindagi ka jaeza lete rahe hum dur se
zindagi ka samna karne se katraate rahe

umr bhar sail bane phirte rahe hum dar-ba-dar
umr bhar daman sawali ban ke phailate rahe

doston ne rafta rafta mujh se aankhen pher lin
aur patthar mere ghar mein muddaton aate rahe

fikr se na-ashna dam-e-riwayat ke asir
kitne shair ek afsane ko dohraate rahe

jab bhi ghar wapas hue zakhmon se ho kar chur chur
rah mein koi na koi aashna pate rahe

ab to mustaqbil karega is ka 'azar' faisla
bhik hum manga kiye ya bhik hum pate rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close