chale the bhar ke ret jab safar ki jism-o-jaan mein hum to sahilon ka aks dekhte the baadban mein hum tuyur the jo ghonslon mein paikaron ke ud gae akele rah gae hain apne khwab ke makan mein hum hamari justuju bhi ab to ho gai hai gard gard ki naqsh-e-pa ko dhundte hain rah ke har nishan mein hum ishaariyat thi be-zaban tha lafz lafz dastan sunate kis tarah ki gum the khud hi dastan mein hum baras rahi hai aasman se misl-e-sang tirgi khade hain kab se teri aarzu ke saeban mein hum zamin ka dard be-badan bhi ho ke apne dil mein tha tabhi to khinch ke aa gae the warna aasman mein hum nafas nafas hai zindagi ka karobar muntashar diwaliya hue ki jab se aae is jahan mein hum