bahsen chhidi hui hain hayat-o-mamat ki sau baat ban gai hai 'firaq' ek baat ki saz-nawa-e-dard hijabaat-e-dahr mein kitni dukhi hui hain ragen kaenat ki rakh li jinhon ne kashmakash-e-zindagi ki laj be-dardiyan na puchhiye un se hayat ki yun fart-e-be-khudi se mohabbat mein jaan de tujh ko bhi kuchh khabar na ho is wardat ki hai ishq us tabassum-e-jaan-bakhsh ka shahid ranginiyan liye hai jo subh-e-hayat ki chheda hai dard-e-ishq ne tar-e-rag-e-adam surat pakad chali hain nawaen hayat ki sham-e-abad ko jalwa-e-subh-e-bahaar de rudad chhed zindagi-e-be-sabaat ki us bazm-e-be-khudi mein wajud-e-adam kahan chalti nahin hai sans hayat-o-mamat ki sau dard ek tabassum-e-pinhan mein band hain taswir hun 'firaq' nashat-e-hayat ki