hae urdu ye siyasat teri jagir ke sath koi 'ghaalib' ka taraf-dar koi 'mir' ke sath zindagi ek safar khauf ki zanjir ke sath maut ek khwab-e-giran hashr ki tabir ke sath har ada husn ki mahfuz hai tasir ke sath bolti chalti thirakti hui taswir ke sath zabt ki had se guzar kar bhi dua karta hun shikwa-bar-lab hun magar jazba-e-tamir ke sath jaani-pahchani hui shakl bhi mubham si lage zindagi ka ye fusun apni hi taswir ke sath ab to thokar bhi lage to nahin uthti jhankar pahle aawaz thi har jumbish-e-zanjir ke sath dida-e-said se aagah na dil se waqif ajnabi kaun hai tarkash mein tere tir ke sath apni qismat ke jo malik hain ye un se puchho rabt tadbir ko hota hai jo taqdir ke sath faiz-e-mausam hi sahi sehr-e-taghayyur hi sahi barq girti hai magar aah ki tasir ke sath apni taswir se ek ishq sa hota hai 'matin' ye junun aur fuzun hota tashhir ke sath