kahin bhi shahr mein kunj-e-aman nahin milta ki aaj rabta-e-jism-o-jaan nahin milta ye sochta hun kahan se ho ibtida, aakhir ki harf koi pas-e-dastan nahin milta samay ki lahr mein gharqab ho raha hun main kahin pe naw kahin baadban nahin milta tamam umr ki la-hasili azab hui wo mil gaya hai to apna nishan nahin milta bata rahi hai bagulon ki ham-rahi mujh ko pas-e-ghubar koi karwan nahin milta mere khilaf shahadat hai mo'tabar sab ki magar kisi se kisi ka bayan nahin milta ye kaisi saaten sar par hain aaj-kal 'athar' zamin mili hai to ab aasman nahin milta