bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai wo ek amal jo sharar ko dhuan banata hai na jaane kitni aziyyat se khud guzarta hai ye zakhm tab kahin ja kar nishan banata hai main wo shajar bhi kahan jo ulajh ke suraj se musafiron ke liye saeban banata hai tu aasman se koi baadalon ki chhat le aa barhana shakh pe kya aashiyan banata hai ajab nasib sadaf ka ki us ke sine mein guhar na hona use raegan banata hai faqat main rang hi bharne ka kaam karta hun ye naqsh to koi dard-e-nihan banata hai na soch 'shad' shikasta-paron ke bare mein yahi khayal-safar ko giran banata hai