bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna saza se kam nahin hai khud ko apne ru-ba-ru karna ajab simabiyat hai in dinon apni tabiat mein ki jis ne baat ki hans kar usi ki aarzu karna ibaadat ke liye tathir-e-dil ki bhi zarurat hai wazu ke baad phir ashk-e-nadamat se wazu karna ye wasf-e-khas hai kuchh aap se ba-wasf logon ka hamein aata nahin hai aap ko lamhe mein tu karna teri fitrat mein yun musbat ishaare dhundta hun main kisi sahra ko jaise chahta hun aabju karna