jis ko sab kahte hain samundar hai qatra-e-ashk-e-dida-e-tar hai abru-e-yar dil ka khanjar hai mizha-e-yar nok-e-nashtar hai chashm-e-ashiq se do bahe dariya ek tasnim ek kausar hai khana-e-dil hai ghair se khali shauq se aao aapka ghar hai qatai aaj faisla hoga teri talwar hai mera sar hai ab to dhuni rama ke baithe hain dar-e-jaanan pe apna bistar hai tama har ek ka din-o-iman hai jis ko dekho wo banda-e-zar hai khub dil khol kar jafa kar lo banda muddat se is ka khugar hai baam par jalwa-gar hai wo shayad ku-e-jaanan mein shor-e-mahshar hai karta aalam ko aah se barham lek 'rana' ko yar ka dar hai