bazm-e-sahba mein achanak shor barpa ho gaya tut kar zahid ka chakna-chur taqwa ho gaya gardish-e-dauran ke hathon ka khilauna ho gaya sochta hun mujh ko kya hona tha main kya ho gaya kasmapursi ka ye 'alam hai mashini daur mein bhid mein rahte hue insan tanha ho gaya waqt ke marham ne dikhlaya to tha apna asar ek hichki mein hi sara khel ulta ho gaya roz-e-awwal se zamin ne zahr ugla is qadar pite-pite aasman ka rang nila ho gaya aap ke qadmon ki khatir hi main laya tha magar hath lagne se mera wo phul maila ho gaya mudda'a la kar zaban par 'nazr' phir ruswa na ho aaj tak to ye hua jo us ne chaha ho gaya