dida-e-ashk-bar le ke chale hum teri yaadgar le ke chale dil mein taswir-e-yar le ke chale hum qafas mein bahaar le ke chale khwahish-e-did le ke aae the hasrat-e-intizar le ke chale samne us ke ek bhi na chali dil mein baaten hazar le ke chale hawas-e-gul mein hum bhi aae the daman-e-tar-tar le ke chale jo mere sath dubna chahe mujh ko dariya ke par le ke chale tum se apna hi bar uth na saka hum zamane ka bar le ke chale hum na isa na sarmad o mansur log kyun su-e-dar le ke chale bhar ke daman mein khak us dar ki hum to ku-e-nigar le ke chale zindagi mukhtasar mili thi hamein hasraten be-shumar le ke chale rup naghmon ka de ke hum 'naushad' apne dil ki pukar le ke chale