bahut hi parde mein izhaar-e-arzu karte nigahen kahti hain hum un se guftugu karte sharab-e-nab se saqi jo hum wuzu karte haram ke log tawaf-e-khum-o-subu karte wo mil ke dast-e-hinai se dil lahu karte hum aarzu to hasin khun-e-arzu karte darogh-bafi-e-dushman ka haal kya khulta jo parda chaak bhi hota to wo rafu karte utar late unhen baam-e-tur se dil mein hum ikhtiyar wo andaz-e-guftugu karte dare wo kyun mere phulon mein aati mil ke hina ye phul khak tamanna-e-rang-o-bu karte kalim ko na ghash aata na tur hi jalta dabi zaban se izhaar-e-arzu karte jo zarf-e-ab hamein mai-kade mein mil jata namaz kabe mein padhte yahan wuzu karte mah-e-siyam mein mauqa jo shab ko mil jata to ek sans mein khali khum-o-subu karte sharab pite hi sajde mein un ko girna tha ye shaghl baith ke mai-nosh qibla-ru karte har ek qatre se bahti riyaz ju-e-sharab jo pi ke hum sar-e-zamzam kabhi wuzu karte