duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta dariya mein utar jaen to dariya nahin milta baqi to mukammal hai tamanna ki imarat ek guzre hue waqt ka shisha nahin milta jate hue har chiz yahin chhod gaya tha lauta hun to ek dhup ka tukda nahin milta jo dil mein samae the wo ab shamil-e-dil hain is aaine mein aks kisi ka nahin milta tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se teri yahi marzi hai to achchha nahin milta dil mein to dhadakne ki sada bhi nahin 'mushtaq' raste mein hai wo bhid ki rasta nahin milta