meri wafa ka tera lutf bhi jawab nahin mere shabab ki qimat tera shabab nahin ye mahtab nahin hai ki aaftab nahin sabhi hai husn magar ishq ka jawab nahin meri nigah mein jalwe hain jalwe hi jalwe yahan hijab nahin hai yahan naqab nahin junun bhi had se siwa shauq bhi hai had se siwa ye baat kya hai ki main maurid-e-itab nahin yahan to husn ka dil bhi hai gham se sad para main kaamyab nahin wo bhi kaamyab nahin yahan to raat ki bedariyan musallam hain magar wahan bhi hasin ankhdiyon mein khwab nahin na puchhiye meri duniya ko meri duniya mein khud aaftab bhi zarra hai aaftab nahin sab hi hain mai-kada-e-dahr mein khirad wale koi kharab nahin hai koi kharab nahin 'majaz' kis ko main samjhaun koi kya samjhe ki kaamyab-e-mohabbat bhi kaamyab nahin