hamein nayaft lamhon se mafar hota na ghar luTta

hamein nayaft lamhon se mafar hota na ghar lutta
ki pahli barf-bari mein kahan zad-e-safar lutta

kabhi wo bar-sar-e-paikar rahta aap apne se
kabhi wo dusron se du-ba-du zer-o-zabar lutta

tumhein is baat ka ehsas to hota hazimat par
sitare tut kar girte agar khwab-e-sahar lutta

ye diwar-o-dar-o-mehrab-o-mimbar hech hain phir bhi
hama-alam ko lutna hai magar tu baam par lutta

teri unchaiyon ne qad ko chhota kar diya sab ke
tujhe lutna tha wusat mein agar be-baal-o-par lutta

koi aawaz pichhe ki taraf mudne ko kahti hai
mere bazu qalam hote mere qadmon pe sar lutta

tere dukh ki gawahi chand tare bhi nahin dete
ki din bhar yun pada sota na aise raat bhar lutta

ghazal lutf-o-asar pa kar ba-tarz-e-'mir' raqsan hai
chalo barpa karen mahfil chalo dekhen sharar lutta

'khumar' aise safar mein aankh chhin jati to achchha tha
kahin shakhon ka sauda aur kahin dekha shajar lutta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close