bekar gai hai meri taqdir hamesha

bekar gai hai meri taqdir hamesha
khamosh rahi hai teri taswir hamesha

main karta raha aish ki tadbir hamesha
aur gham mujhe deti rahi taqdir hamesha

gardan mein raha tauq-e-gulu-gir hamesha
aur panw mein diwane ke zanjir hamesha

in aankhon ne dekhi teri tanwir hamesha
dil mein rahi zalim teri taswir hamesha

majruh nazar aati hai har ek tamanna
kya dil pe mere chalti hai shamshir hamesha

aalam mein wo lazzat-kash-e-bedad hain hum bhi
dil apna raha muntazir-e-tir hamesha

hone na diya us ne kabhi dast-basaman
dushman hi raha ye falak-e-pir hamesha

aamada-e-be-dad rahe aath pahar wo
fariyaad ki ulti rahi tasir hamesha

hasil ho mujhe mulk jo iqlim-e-sukhan ki
sarmaya-e-nazish ho ye jagir hamesha

bar aain muraden meri 'masud' ba-diqqat
pure hue arman bata khair hamesha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close