bhaga to bahut tha maut se main kam-bakht ne lekin aan liya un lakhon hi marne walon mein kya jald mujhe pahchan liya jab qatl hua main tadpa bhi chhinten bhi udain man liya ilzam khud us par kya ye nahin daman ko na kyun gardan liya tu aam farebi mujh se na kar hum mard hain sun le ai duniya jo munh se kaha wo kar guzre jo than liya wo than liya aqsam the yas-o-hasrat ke asnaf-e-umid-e-behad ke jab chalne lage hum duniya se sath apne bahut saman liya jis hath se mujh ko qatl kiya us hath ka kalima padhwaya li jaan to khair ehsan kiya qatil ne magar iman liya mai-khana hai ja-e-aish-o-tarab yan baith ke rona kya mani kya muft ka apne sar tu ne ai dida-e-tar tufan liya us ghar mein karam jab tu ne kiya kuchh der thahar ai tir-e-nazar bosa tere qadmon ka dil ne kis shauq se ai mehman liya aaram-talab hone ka guman juya pe tere la-haul wala tab panw ko tode baitha hun jab dasht-o-jabal ko chhan liya jis bhes mein tu ho kya parwa aainda na khaegi dhoka ai talib-e-duniya duniya ne har tarah tujhe pahchan liya thi dhaar rag-e-gardan pe meri sina bhi daba tha qadmon se khanjar ka tere bosa hum ne munh pher ke ta-imkan liya ai 'shad' abas hai us ka gila wo hajw kare ya tujh se phire ta-hashr raha shagird tera ustad tujhe jab man liya