bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain meri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain jise kahti hai duniya kaamyabi wae na-dani use kin qimaton par kaamyab insan lete hain nigah-e-baada-gun yun to teri baaton ka kya kahna teri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain khud apna faisla bhi ishq mein kafi nahin hota use bhi kaise kar guzren jo dil mein than lete hain hayat-e-ishq ka ek ek nafas jam-e-shahadat hai wo jaan-e-naz-bardaran koi aasan lete hain ham-ahangi mein bhi ek chashni hai ikhtilafon ki meri baaten ba-unwan-e-digar wo man lete hain teri maqbuliyat ki wajh wahid teri ramziyyat ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar jaanen khuda-e-do-jahan ko de ke hum insan lete hain jise surat batate hain pata deti hai sirat ka ibarat dekh kar jis tarah mani jaan lete hain tujhe ghata na hone denge karobar-e-ulfat mein hum apne sar tera ai dost har ehsan lete hain hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai to teri har nazar se hum naya paiman lete hain rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-waqt-e-akhir hai tera ai maut hum ye dusra ehsan lete hain zamana wardat-e-qalb sunne ko tarasta hai isi se to sar aankhon par mera diwan lete hain 'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir kabhi hum jaan lete hain kabhi pahchan lete hain