hum jo insan ke gham uthate hain khub ko khub-tar banate hain zindagi khwab hi sahi lekin khwab tabir chhod jate hain be-haqiqat masarraton ke liye zindagi bhar fareb khate hain mangte hain duaen jine ki aur jina hi bhul jate hain sochi-samjhi wahi tamannaen roz khake nae banate hain aap se yaad aap ki achchhi aap to hum ko bhul jate hain karwan-e-hayat mein khud ko har qadam ajnabi sa pate hain jab bhi banta hai koi shish-mahal kitne aaine tut jate hain zehn-o-dil ki riqabaten tauba! kaise kaise khayal aate hain dosti kya hai khud-satai hai sab 'matin' apne kaam aate hain