mujhe shakl de ke tamam kar kaf-e-kuza-gar kabhi ku-ba-ku mujhe aam kar kaf-e-kuza-gar kisi subh mujh ko wajud de mere ru-ba-ru kisi sham mujh se kalam kar kaf-e-kuza-gar mujhe aanch de kisi dopahar ke faragh mein kisi raat mujh mein qayam kar kaf-e-kuza-gar mujhe chhu ke lams-shanas kar kisi sah-pahar meri ruh tak mein khiram kar kaf-e-kuza-gar kabhi pura din isi khak par mere sath rah isi kunj mein koi sham kar kaf-e-kuza-gar kabhi shab dhale koi shakl meri khabar ko de gham-e-be-jahat ko maqam kar kaf-e-kuza-gar main jo ek zarra-e-reg hun tah-e-reg hun kabhi mujh ko mahr-e-tamam kar kaf-e-kuza-gar mujhe daeron ke hujum mein kahin bhej de meri wusaton ko dawam kar kaf-e-kuza-gar kabhi le ke aa meri khak nil-o-furaat se koi waqia mere nam kar kaf-e-kuza-gar