bahut pahunche to un ke kakul-o-rukhsar tak pahunche magar aashiq na ab tak ishq ke mear tak pahunche dabain dhadkanen aankhon ko jhuthlaya gaya barson badi mushkil se wo inkar se iqrar tak pahunche abhi to raushni uljhi hai tariki ke tufan se na jaane kab talak apne dar-o-diwar tak pahunche chudao gar chhuda sakte ho daman-e-wafa hum se magar aisa na ho ye baat bhi aghyar tak pahunche zaban ki aarzu mein thokaren khate hue naghme rubab-o-chang se talwar ki jhankar tak pahunche