karen salam use to koi jawab na de ilahi itna bhi us shakhs ko hijab na de tamam shahr ke chehron ko padhne nikla hun ai mere dost mere hath mein kitab na de ghazal ke nam ko badnam kar diya us ne kuchh aur de mere saqi mujhe sharab na de main tujh ko dekh ke tere bharam ko jaan sukun ek aadmi hun zara soch aisi tab na de wo mil na pae agar mujh ko is zamane mein to aisi hur ka duniya mein koi khwab na de ye mere fan ki talab hai ki dil ki baat kahun wo 'ashk' de ki zamane ko inqilab na de