bahut qarib hai pat-jhad ki rut palak na utha zamin se aks utha dhup ki chamak na utha ghilaf-e-sang mein lipta hua hai shahr ka shahr chali hawa to zamin se ghubar tak na utha qadam qadam pe ye dar tha ki ghat mein hai koi yahan to pa-e-tafakkur mein thi jhijak na utha phir apna apna kafan le ke chal diye sab log kisi se bar-e-gham-e-marg-e-mushtarak na utha main chob-e-gham tha ki pahron sulag sulag ke jala kabhi jo shoala utha bhi to yak-ba-yak na utha shigaf-e-sar ko wajud-e-hawa-e-shor bahut ye shahr-e-sang hai yan tohmat-e-namak na utha bahut zamin se uthaya uthi na parchhain gira tha aks kuchh aisa ki aaj tak na utha