ek muddat se adhura hai sarapa apna gum hua jaane kahan bhid mein chehra apna meri khwahish ke parinde ko qanaat hai pasand sukhi tahni pe hi karta hai basera apna hirs caron ke khazane ki hui hai jab se khair khairaat se bharta nahin kasa apna hum ne sikha hai gulabon se takallum ka tariq khurdura ho nahin sakta kabhi lahja apna hai to aalam ki khabar apni khabar khak nahin ab tasawwur mein hi khulta hai daricha apna ukhdi ukhdi si lagawat ko mohabbat na samajh dhup chamke to thaharta nahin saya apna ek ek sans pe dete rahe jine ka khiraj zindagi ne na kiya tark taqaza apna aadamiyat se muzayyan wo kitaben thin subuk aaj raddi se giran-bar hai basta apna sirf khwabon pe ijara tha haqiqat pe nahin hum sarabon ko samajhte rahe dariya apna koi khilat na inayat ki talab hai 'sabir' hum to likhte hain shab-o-roz qasida apna