bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat mein aa basa hun sukun ki subh chahta tha so sham-e-wahshat mein aa basa hun main apni angusht katta tha ki bich mein nind aa na jae agarche sab khwab ka safar tha magar haqiqat mein aa basa hun visal-e-farda ki justuju mein nashat-e-imroz ghat raha hai ye kis talab mein ghira hua hun ye kis aziyyat mein aa basa hun yahan to be-fursati ke hathon wo paemali hui hai meri ki jis se milne ki aarzu thi usi ki furqat mein aa basa hun kahan ki duniya kahan ki sansen ki sab fareb-e-hawas nikla jaza ki muddat samajh raha tha saza ki mohlat mein aa basa hun sawal karne ke hausle se jawab dene ke faisle tak jo waqfa-e-sabr aa gaya tha usi ki lazzat mein aa basa hun ye un se kahna jo meri chup se hazar baaten bana rahe the main apne shoale ko pa chuka hun main apni shiddat mein aa basa hun