jab kabhi yaadon ka darwaza khula aaKHir-e-shab

jab kabhi yaadon ka darwaza khula aakhir-e-shab
koi dar aaya ba-andaz-e-hawa aakhir-e-shab

hum pasheman idhar aur udhar wo nadim
sham ka bhula hua aa hi gaya aakhir-e-shab

dil ke aangan mein ba-sad naz tha wo mahw-e-khiram
phul hi phul tha naqsh-e-kaf-e-pa aakhir-e-shab

kar saka pesh na uryani ka jab koi jawaz
aa gaya odh ke mariyam ki rida aakhir-e-shab

sanwli sham ki zulfon ke parastar tamam
ho gae aap hi masruf-e-dua aakhir-e-shab

nind aa hi gai wamanda the aasab tamam
thandi thandi jo chali mauj-e-saba aakhir-e-shab

wo kasak murgh-e-sahar ki thi nawa mein 'raunaq'
dil pe ek nashtar-e-ehsas laga aakhir-e-shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close