kuchh dil-nashin yaaden bhi hain kuchh dard ka rishta bhi hai main kis tarah bhulon use wo umr ka hissa bhi hai gham mein khushi ki lahr kyon aasudgi mein zahr kyon is soch mein dariya bhi hai is fikr mein sahra bhi hai wo wahm ki tahrir hai wo khwab ki taswir hai main ne use dekha nahin main ne use dekha bhi hai kab tak main apne aap se ladta rahun ladta rahun main aakhirash insan hun insan to thakta bhi hai nafrat kisi ki yaad se wahshat khud apne aap se waise to yun hota nahin lekin kabhi hota bhi hai ab to 'samir' is dasht mein rahna hai mujh ko umr bhar ye aakhiri manzil nahin ye aakhiri rasta bhi hai