bahut shadab tha raftar-e-jaan se musafir thak gaya hai karwan se dil-e-khush-kaam teri khush-mizaji badhai ja rahi lutf-e-ziyan se khalaon ke samundar mein gire hain sadaen laut kar aaen kahan se main apne sath jis ko dho raha hun bichhadta ja raha ahl-e-jahan se zamin ki dhun mein utra aasman se sitara mit gaya khud dastan se