use pasand hain jo roz-o-shab tamashe hain

use pasand hain jo roz-o-shab tamashe hain
tamashbin ki duniya hi ab tamashe hain

hamari qaum ko jab se mili hai aazadi
hamare mulk mein jari ajab tamashe hain

tujhe tariqat-e-ushshaq ki khabar hi nahin
teri nigah mein wo chashm-o-lab tamashe hain

tamasha dekhne walon pe sehr tari hai
tamasha dekhne wale bhi ab tamashe hain

bahut si aankhon ko is baat ki bhanak hi nahin
idhar udhar jo tamasha-talab tamashe hain

wo shakl jab na rahi zindagi ke mele mein
fuzul meri nigahon mein sab tamashe hain

dil-o-nigah pe ek bojh ban chuke 'yawar'
jo in dinon sar-e-shahr-e-adab tamashe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close