tumhaari bazm mein jo log ja ke baiThe hain

tumhaari bazm mein jo log ja ke baithe hain
nasib daw pe apna laga ke baithe hain

ye do-jahan ke afrad waqt ke hain ghulam
bade-badon ko bhi hum aazma ke baithe hain

madad ke waste aaega kaun dekhna hai
hum apna dard sabhi ko suna ke baithe hain

hai matlabi ye zamana kisi ka koi nahin
diya umid ka phir bhi jala ke baithe hain

nahin hai koi bhi diwangi ka zimmedar
khudi ka haal ye khud hi bana ke baithe hain

unhen dikhai nahin deta mustahiq koi
jo kaenat ki daulat daba ke baithe hain

jo dekhta hai wo kahta hai mutmain hum ko
ye aur baat ke sab kuchh luta ke baithe hain

ajib haal hai duniya ka ai 'sharar-naqwi'
jinhen tha jhukna wahi sar utha ke baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close