bahut waqif hain lab-e-ah-o-fughan se

bahut waqif hain lab-e-ah-o-fughan se
tabassum hai kahan laun kahan se

tasawwur bhul jata hai khuda ko
ye takraya hai jab aah-o-fughan se

yaqin hone ko hai mayusiyon par
tawaqqo uth rahi hai aasman se

muqaffal ho zaban jis be-nawa ki
wo kyun kar kya kahe apni zaban se

kahe kuchh bhi magar pur-soz hoga
hamein ummid hai apni zaban se

ilahi khair mere aashiyan ki
dhuan sa uth raha hai gulistan se

kahin dhoka na ho 'maghmum' ye bhi
nazar aate hain kuchh dhundle nishan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close