ham-nashinon mein hamara ham-nawa koi nahin aashna to hain bahut dard-ashna koi nahin ai masiha maut se kar zindagani ka ilaj ho rahe wo ghair ke ab aasra koi nahin but-kade se chhut kar aisa hue be-khanuman jaise zer-e-asman mera khuda koi nahin khud-numai mein bhi wo mahbub hai mastur hai dekhte hain sab magar pahchanta koi nahin burrish-e-tegh-e-ada-e-dost ka ehsas hai ab rahin-e-minnat-e-tir-e-qaza koi nahin hai teri mashq-e-sitam ka rang agar yunhi to phir dekha lena ek din tere siwa koi nahin puchhte hain muddaa mujh se adu ke samne muddaa ye hai ki kah dun muddaa koi nahin ba-wafa itni jafa par kaun hai mere siwa tujh se badh kar bad-guman ai bewafa koi nahin badh gaya hai aaj kal jaur-e-butan kuchh is qadar dast-gir-e-bandagan goya khuda koi nahin le ke bar-e-zindagi kab tak koi phirta rahe rahzan hi lut le jab rahnuma koi nahin jaan kar 'bekhud' hua khud dushman apni jaan ka phir gila kyun doston se hai mera koi nahin