darwaza wa kar ke roz nikalta tha sirf wahi apne ghar ka sarmaya tha khade hue the ped jadon se kat kar bhi tez hawa ka jhonka aane wala tha usi nadi mein us ke bachche dub gae usi nadi ka pani us ka pina tha sabz qabaen roz lutata tha lekin khud us ke tan par bosida kapda tha bahar sare maidan jit chuka tha wo ghar lauta to pal bhar mein hi tuta tha but ki qimat aank raha tha waise wo mandir mein to puja karne aaya tha chikh padin sari diwaren 'amabar'-ji main sab se chhup kar kamre mein baitha tha