bahuton ne jise arsh pe be-jaan mein dekha hum ne to use jite-ji is jaan mein dekha majnun tha ham-aghosh liye laila ko apni yaro ye tamasha main bayaban mein dekha jawe bhi phir aawe bhi kai shakl se har bar chakkar mein kahan par ye maza tan mein dekha faqa hi rahe roz na kuchh khana na pina ye daur main ne hazrat-e-ramazan mein dekha sab raat laden tonte chhachhundar ki ladai bhaunchappa main ne chhutte shaban mein dekha go mewe hazaron hain aur hain neamaten lakhon par sab se saris hum ne maza nan mein dekha har sher tadaqe ka har ek baat tamasha aisa to main ne sauda ke diwan mein dekha har nafs ko hairan kare sowte jagte is fan ko main ne hazrat-e-shaitan mein dekha kuchh baat kahe hans ke to jhadte hain nire phul lahza ye tere is lab-e-khandan mein dekha hanste hi kare der na ladte hi kare der ye taur tera tiflak-e-nadan mein dekha go sarw tere qad ka sa mauzun to nahin hai par kahne ko lachaar main bustan mein dekha jo chah-e-zanakh bich gira phir na nikla aisa to kai bar main har aan mein dekha kuche ka gaya tere koi phirta nahin hai main khub hi kar ghaur gareban mein dekha tujh chashm ki tashbih ko nargis ka zikar kya sau bar use main ne gulistan mein dekha