chori chori aankh ladte mein dikha dun to sahi khans kar khankhaar kar us ko jata dun to sahi mil to dekhe ghair se kis tarah milta hai wo shokh wo jo naqsha us ne bandha hai mita dun to sahi jal-bujhe sine mein dil lekin na nikle munh se aah dar muqaffal kar ke main ghar ko jala dun to sahi ishq kahta hai ki sar-rishta dil ka mere hath jun patang ek din kata kar main luta dun to sahi sath le kar yar ghairon ko idhar aata to hai ai 'nisar' us se ye rasta main chhuda dun to sahi