chhod kar behaal mujh ko apne begane gae gardish-e-ayyam mein sab log pahchane gae jaane kis ki bad-nazar ne hashr barpa kar diya munis-o-gham-khwar sab dushman mein gardane gae koi bhi tadbir apni kaam ab aati nahin meri aql-o-faham ke mashhur afsane gae bhuk aur iflas ki suli chadha kar qaum ko rahnuma-e-waqt ab parcham ko lahrane gae khinch kar aksar gareban zarf ne roka hamein jab kisi kamzor par hum zor dikhlane gae hosh walo ko khirad-mandi ne buzdil kar diya aur mushkil markon par sirf diwane gae kis mein dekhun aks sachchai ka ab main kya karun aaine bhi jhut ke zumre mein gardane gae mil gaya 'maqsud' mujh ko ho gai taza ghazal fikr ke parde mein jab alfaz lahrane gae