baith kar ek dal par filhaal ai parinde nikal par filhaal baat dekhen kahan pahunchti hai zor hai haal-chaal par filhaal dukh samajhna padega bachche ka pahla aansu hai gal par filhaal fikr-e-nan-e-jawin ka ghalba hai apne har ek khayal par filhaal dhal gaya hai uruj ka mausam hai bulandi zawal par filhaal us ki anmol chahaton ka udhaar hai mere baal baal par filhaal hum to chhod aae the chaman tera kaun hai dekh-bhaal par filhaal ek parinde ne dusre se kaha chal utarte hain jal par filhaal dhadkanen munh ko aa rahi hain 'hasan' dil nahin e'tidal par filhaal