hum se to rah-o-rasm hai aghyar ki tarah duniya pe mehrban hain gham-khwar ki tarah kam-maegi na puchh meri bazm-e-ghair mein uthti hai har nigah kharidar ki tarah main tajiran-e-ishq ke bare mein kya kahun in ka junun hai garmi-e-bazar ki tarah khud-sakhta buton ko main ab tod-tad kar pujunga bas usi ko parastar ki tarah zauq-e-nazar ko aap samajhte hain gar gunah nadim khada hun main bhi gunahgar ki tarah dekhi hai main ne shakh se patton ki rukhsati jaane na dunga ab tujhe har bar ki tarah zad-e-safar ki fikr na manzil ka ho khayal rah-e-talab mein aao talabgar ki tarah chaha hai tum ko yun ki tumhein bhi khabar na ho socha hai tum ko an-kahe ashaar ki tarah kahne ko koi band-o-salasil nahin magar sab hain fasil-e-jaan mein giraftar ki tarah 'adil' rukh-e-nigar nahin dil ka aaina iqrar-e-khas hota hai inkar ki tarah