duniya mein koi ahl-e-nazar kya raha nahin wo samne hai aur koi dekhta nahin aisa bhi inqalab jahan mein hua nahin din ho gaya hai aur andhera gaya nahin tum ne bhi kuchh suna hai mere dil ka majra hai har zaban pe aur kisi ne kaha nahin mana ki main zamane mein majbur hun magar ye khair hai ki tum bhi kisi ke khuda nahin aaj apne aashiyane mein bulbul hai be-watan sayyaad ke bhi ahd mein aisa hua nahin iman hai mera teri jannat par ai khuda lekin ye mere khun-e-jigar ka sila nahin 'maikash' mera bayan zamane ne sun liya hai jis ka zikr sirf usi ne suna nahin