kahin dariya nahin hota kahin sahra nahin hota zarurat par hamari koi bhi apna nahin hota kahani khatm ho jati koi sadma nahin hota bichhadte waqt wo chhup kar agar roya nahin hota batao kaun si shai ki kami hai mere paikar mein mujhe samjhao mera aks kyun samjha nahin hota tumhaari yaad ke sae mein yun har-waqt rahta hun main tanha rah bhi jaun to kabhi tanha nahin hota mohabbat mein yahi nazargi to lutf deti hai koi khidki nahin hoti koi parda nahin hota tasalli aur dilase sab ke sab be-kar jate hain na jaane kis tarah bikhra hun main yakja nahin hota use tum dhup mein barsat mein kohre mein rakh dekho 'pawan' wo aaina hai jo kabhi dhundhla nahin hota