baithi thi kisi shakh pe jab raat ki titli udti thi hawaon mein khayalat ki titli nadan se bachche ne use qaid kiya tha kamzor hui thi mere jazbaat ki titli yak-lakht hui jism ke mahlat mein ru-posh majbur bahut thi mere haalat ki titli jazbon ki mahak ruh ke phulon mein nahin thi thi waqt ki har shakh pe khatraat ki titli logon ne tarah-dar gulabon ko chhupaya jab main ne udai thi hidayat ki titli shab-bhar mere afkar ki dahliz mein 'jami' thak-haar ke soti rahi jazbaat ki titli