dard ka shahr hai arman ki baaten kar len sare raunde hue insan ki baaten kar len gham-o-alam ki likkhi hai kahani hum ne bazm-e-ahbab mein unwan ki baaten kar len khud-gharaz logon mein hatim ko kahan dhunden hum ku-e-iflas mein imkan ki baaten kar len naf-o-nuqsan se sarokar nahin hai hum ko khadim-e-khalq hain ehsan ki baaten kar len munsif-e-waqt agar kho gaya tariki mein taron ki chhanw mein mizan ki baaten kar len aaj mahfil mein chale aae hain 'jami' kaise un se hum waqt ke bohran ki baaten kar len