dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin ye aadmi ki khudai ka waqt hai ki nahin kaho sitara-shanaso falak ka haal kaho rukhon se parda-kushai ka waqt hai ki nahin hawa ki narm-rawi se jawan hua hai koi fareb-e-tang-qabai ka waqt hai ki nahin khalal-pazir hua rabt-e-mehr-o-mah mein waqt bata ye tujh se judai ka waqt hai ki nahin alag siyasat-e-darban se dil mein hai ek baat ye waqt meri rasai ka waqt hai ki nahin dilon ko markaz-e-asrar kar gai jo nigah usi nigah ki gadai ka waqt hai ki nahin