dasht-e-bala-e-shauq mein kheme lagae hain ibn-e-ziyaad-e-waqt se kah do hum aae hain ek kahkashan hi tanha nahin wajh-e-dil-kashi aanchal pe tere hum ne bhi moti lutae hain tah kar chuke bisat-e-gham-o-fikr-e-rozgar tab khanqah-e-ishq-o-mohabbat mein aae hain tum hi nahin ilaj-e-mohabbat se be-niyaz hum ne bhi ehtiyat ke purze udae hain lagta yahi hai nur ke rath par sawar hun aankhon ne teri mujh ko wo raste sujhae hain wahshat-sara-e-dahr mein bhi shad-kaam hain 'saqib' ye log kaun se jangal se aae hain